Sunday, July 24, 2011




Wo raha us kone me jhank raha bahar us khirk se, ate jate gadiyon ko.
Maine puchha: kya hua yanha kya kar rahe ho akele , aaj khelne nahi jana kya? Nahi bas un hi, mann nahi kar raha.
Uski yaad a rahi hai kya? Humn, usne dheere se kaha.
Maine kaha : koi nahi, aur bhi to dost hain na, dekho us makan me neye uncle-aunti ayen hai, unke do bache hain, ek to tumhare hi class me padhti hai.
Usne meri taraf dekha, aur fir se bahar dekhne laga.
Maine kaha: tum to hamesha us se ladte rahete the, aur kitno dino se to us se baat nahi kara rahe the, tumne hi to kahte the, wo achh hai nahi tumhare sath khelne nahi ati, ab kya hua.
Usne kuchhh nahi bola… maine fir se puchha, bolo to kya hua. wo jate waqt bhi ladke hi gayee, usne kaha she hates me, maine itna sorry kaha usne kuchh nahi suna.
Main uske ghar pe bhi gaya, uske liye smoshe le ke magar usne to dhang se bat bhi nahi kara mujh se. mujhe gussa nahi ata kya. Pata nahi kya samjhti hai khud ko. Ab aur main kya karta. Wo itne ghusse me thi ki main bol nahi paya kuchh, Khadusni ne movie bhi nahi dekhne diya, bolti hai use padhna hai...
humn, achha achha to sari galti ussi ki hain na?? tum to sabse achhe ho!! jarur tumne kuchh kaha ho ga ya kya hoga, tumhe main achhi tarah janti hun, bolte waqt kuchh sochte ho kya?? I said sarcastically.
hain to maine sorry to bola na itni baar,  wo to mujhe janti hai na main aisa hi huin, aur main uske ghar bhi to gaya... main bhi to use hamesha maaf kardeta tha na, wo to mere se kitne bure se pes aati rahti thi, pahle to bhut achhi thi, ab to mere sath khelne bhi nahi aati thi.
Main kaha: Humn, chal chhoro jane do na, wo gandi hai ...to achha hai na wo chali gayee.
usne kuchh jabab nahi diya, bas dekhta raha, road pe ate jate un gadiyon ko... sahi hai har chejon ko kud se saljhna karna aur nikalna, use hi to anubhav kahte hain sayad.

-to be continued   ...

3 comments:

  1. must likhe ho re pandit... hum kitne bhi bade ho jaayen, ye bachchaa to hameshaa hum men rah jaata hai..!!!

    ReplyDelete
  2. bilkul sahi kaha, thanks yar :),

    ReplyDelete